XtGem Forum catalog


Motivational Shayari

Motivational Shayari

PAGE=1

Pyar Ki Kashti
By : Gagan (Views : 517)

Pyar ki kashti mein sawar do guldaste
Saath khelte hai saath haste
Khuda chahe bhi to inhe alag nahi kar sakta
Kyuki manzil payenge zaroor ye ek din
Chahe ho hazar raste

 

Jeene Ka Sach
By : Gagan (Views : 914)

thokar khakar gungunana zindagi hai
gum paakar muskurana zindagi hai
sukh ke saath jiye to kya jiye
gum bhulakar jashn manana zindagi hai

 

ISHQ KARNE WALE
By : Gagan (Views : 655)

ISHQ KARNE WALE KO DEEWANA KEH DIYA
SHAMA PAR JALNE WALE KO PARWANA KEH DIYA
MOHABBBAT KO PATTHAR KE NEECHE DAFNAYA AUR
USE TAJ MAHAL KEH DIYA

 

Mauka Hai To
By : Gagan (Views : 662)

Mauka hai to machal jayiye
mauka hai to machal jayiye
thoda sambhaliye thoda fisal jayiye
moti gali na mile to patli gali se nikal jayiye
mere sher aapke roobaroo thoda to behal jayiye
ek halki si hasi mein pighal jayiye

 

Mombatti
By : Gagan (Views : 692)

Mombatti bhi admi ki tarah hoti hai
Mombatti bhi admi ki tarah hoti hai
wah bhi apna chmakta hua chehra dikha kar kinare se roti hai!
dekho is mombatti ko aur maan lo mera kehna
kabhi bhi is dukh ke andar maat rehna
nahi to sab jal jayega
sab gal jayega
bina teri anumati ke
Sab badal jayega

IBADAT
By : Gagan (Views : 617)

YE DAULAT KISI KI AMANAT NAHI HOTI
YE CHAHAT DILON KI MUHABBAT NAHI HOTI
YE HAQEEQAT KHUDKO TANHAI ME RAKH KE SOCHO
SIRF SIR JHUKA DENE SE "IBADAT" NAHI HOTI

 

KYA YAHI HINDUSTAN HAI?
By : Gagan (Views : 1204)

AJEEB SI DASTAN HAI, YAHA HAR KOI ANJAAN HAI
RAJ THAKRE NE LAGA DI AAG PAR JALA TO INSAN HAI
UTHAYI UNGLI SARDAR PE TO KISI NE BAPU KO KHICHA
UNKA KYA KAROGE JIS KE GHAR SE GAYI JAAN HAI

KISI NE KAHA JAWAB DEGE GOLI SE GOLI KA
KYA YAHI HUMARE "RASHTRA" KA SAMMAN HAI
KOI DIYA AAHUTI JIWAN KA AUR BANA MAHAN HAI
LALOO NE KAHA ISTIFA DO AUR NITISH KA BHI YAHI BAYAN HAI

KOI KAHTA HAI KI KARTE HUM DESH KA NIRMAN HAI
KOI KURSI KE KHATIR BADALTA APNA BAYAN HAI
KOI KAHTA YE HINDU HAI TO KOI YE MUSALMAN HAI
KYA YAHI DESH HAI JISEY KAHTE HUM MAHAN HAIN?

KYA YAHI HINDUSTAN HAI? KYA YAHI HINDUSTAN HAI?
JIS PAR GARV HAR KISI KA AUR HUMARA SAMMAN HAI
KYA YAHI HINDUSTAN HAI? KYA YAHI HINDUSTAN HAI?

 

Parwaaz Karke Dekh
By : Gagan(Views : 520)

Anjaam Se Kya Darta Hai Aagaaz karke dekh
Bheege huye paron se Parwaaz karke dekh

 

KASHISH DIL KI
By : Gagan (Views : 824)

KASHISH DIL KI HAR CHEEZ BHULA DETI HAI
BANDH ANKHO MAIN BHI SAPNAY SAJA DETI HAI
SAPNO KI DUNIYA ZAROOR RAKHNA AYE DOST
KYUNKI HAQEEQAT TO AKSAR RULA DETI HAI

 

Hamari Sonch Ke Parwaz Ko Roke Nahin Koi
By : Gagan(Views : 809)

Hamari Sonch Ke Parwaz Ko Roke Nahin Koi
Naye Aflak Pe Pehra Bitha Kar Kuch Nahi Milta
Koi ik Aadh Sapna Ho To Phir Acha Bhi Lagta hai
Hazaron Khawab Ankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta
Use Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khwab Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Kar Kuch Nahi Milta
Ye Acha Hai ke Aapas Ke Bharam Naa Totne Payein
Kabhi Bhi Doston Ko Aazma Kar Kuch Nahi Milta
Faqat Tumse Hi Karta Hoon Main Sari Raaz Ki Batein
Har Ik Ko Dastan-E-Dil Suna Kar Kuch Nahi Milta
Amal Ki Sookhti Rag Mein Zara Sa Khoon Shamil Kar
Mere Humdam Faqat Batein Banakar Kuch Nahi Milta

Apne Sapno Ko
By : Gagan (Views : 4175)

Apne sapano ko hakikat ki jamee dena
in pathrai aanko ko thodi si nami dena
dena karm ko dhan se adhik pradhaanta
dushto ko dena dand aur apno ki mitana agyaanta

 

Rahguzar
By : Gagan (Views : 2448)

Kaante milte hain phoolon ki tlaash mein
gham milte hain khushiyon ki talaash mein
intezaar milta hai chahat ki aas mein
Par ye rah-e-guzar to bas chalta hi jaata hai
Kaarawaan mil nahi jaata apni manzil se

 

Toofaan Kiye Hue
By : Gagan (Views : 2871)

Muddat huye nazara-e-toofaan kiye huye
Sahil supurd-e-khatra-e-toofaan kiye huye
Bawar nahin tu dekh ke zinda hai kis tarah
Basti ghariq-e-moja-e-toofaan kiye huye
Tinke se beh gaye yahan jitne the zorwar
Khud ko harif-e-ghamzae toofaan kiye huye
Ashk-e-rawaa ke josh se basti ke deedawar
Baithe hai khud se wada-e-toofaan kiye huye
Jo bach gaye the dhoop mein jalne ke bawajood
Baithe hai sir pe say-e-toofaan kiye huye
Arsa guzar gaya mujhe apne shor ko
Mehv-e-sada-e-naghma-e-toofaan kiye huye

 

Darkaar
By : Gagan (Views : 2770)

Uthati Lehron ko saahil ki darkaar nahin hoti
hauslon ke aage koi deewar nahin hoti
jalte huye ik chiraag ne aandhiyon se kaha
himmat hai to bujha ke dikha
jalne ke liye mujhe kono ki darkaar nahi hoti

 

Jeevan Ki Jung
By : Gagan (Views : 1691)

Mushkilon mein bhag jana asaan hota hai
har pehlu zindagi ka imtihan hota hai
darne walon ko kuchh milta nahi zindagi mein
aur ladne walon ke kadmon mein jahan hota hai

Zaroori Hai
By : Gagan (Views : 2145)

mohabbat na samajh hoti hai, samjhana zaroori hai
jo dil mein hai use aankhon se kehalwana zaroori hai
usoolon par jo aanch aaye to takrana zaroori hai
jo zinda hai to fir zinda nazar aana bhi zaroori hai
mohabbat mein kashish rakhne ko sharmana zaroori hai
bohot bebaak aankhon mein talluq tik nahin sakta
mohabbat mein kashish rakhne ko sharmana zaroori hai
saleeqa hi nahi shayad use mehsoos karne ka
jo kehte hai gar khuda hai to nazar aana bhi zaroori hai

 

SAPNE NAHI TOOTA KARTE
By : Gagan.. (Views : 2257)

SATH NAHI REHNE SE RISHTE NAHI TUTA KARTE
WAQT KI DHUNDH SE LAMHE NAHI TUTA KARTE
LOG KEHTE HE MERA SAPNA TOOT GAYA
TOOTI NEEND HAI SAPNE NAHI TUTA KARTE

 

KHWABON KO
By : Gagan.. (Views : 1825)

KHWABON KO HAKIKAT ME BADAL KAR TO DEKH
PINJRE KI SALAAKHON ME HAI UDNE KI RAH BHI
GULAAMI KO BAGAAWAT ME BADAL KAR TO DEKH
KHUD-B-KHUD HAL HONGI ZINDGI KI MUSHKILEN
BAS KHAMOSHI KO SAWALON ME BADAL KAR TO DEKH
CHATTAANE BHI TUTENGI INHI HATHON KE BHAROSE
APNI AARZOO KO IBAADAT ME BADAL KAR TO DEKH
ANDHERI RAAHON ME CHAMKEGI SURAJ KI ROSHNI
ANGOOTHE KO DASTAKHAT ME BADAL KAR TO DEKH
HONSLA KAM NAA HOGAA TERAA TUFAAN KE SAMNE
MEHNAT KO IBAADAT ME BADAL KAR TO DEKH
KADMON KE TALE KHUD HONGI MANJILEN TERI
MERI BAATON KO NASIHAT ME BADAL KAR TO DEKH
BASS EK BAAR ZINDAGI ME PYAAR KARKE DEKH
PYAAR KI PAKIZGI KO IBAADAT BANA KE DEKH

 

Hathon Ki
By : Gagan.. (Views : 1886)

Hathon ki lakiron main kismat hoti hai,
Milna aur bhul jana logo ki fitrat hoti hai,
Bikharta to har koi hai dard me,
Magar gum bhulana insaan ki jarurat hoti hai.

 

Usney Kaha
By : Gagan.. (Views : 874)

Usne Kaha Mujhse Kitna Pyaar Hai
Maine Kaha Sitaron Ka Koi Shumaar Hai?
Usne Kaha Kaun Tumhe Hai Bahut Azeez
Maine Kaha Dil Pe Jiska Ikhtiyaar Hai
Usne Kaha Kaunsa Tohfa Hai Pasand?
Maine Kaha Wo Shamaa Jo Ab Tak Udhaar Hai
Usne Kaha Saath Kahan Tak Nibhaoge?
Maine Kaha Jitni Ye Saanson Ki Taar Hai
Usne Kaha Mujhko Yaqeen Aaye Kis Tarah?
Maine Kaha Mera Naam Hi Aitbaar Hai..!

Aaj Aisa Hua Hai
By : Gagan.. (Views : 663)

Mujhe yaad hai woh din
jab main bhaage bhaage tumhaare paas aati thee
tumhe bataane? ke suno aaj aisa hua ke.

Aur tum hanskar
Mere ehsaasaat se bekhabar
Mujhse kehte
"phir kabhi bataana abhi zara masroof hoon"

mooh latkaaye chalee jaati thee
par intezaar rehta
tumhe bataane ka
ke aaj aisa hua ke

bewaqoof thee main
aur itnee? yeh kabhi nahi socha
ke tumhe kya? agar aaj aisa hua ke?
aur jab
aaj aisa hua ke
main tumhaaree taraf mudee
rokk liya maine apne aap ko
samhbal gaee hoon ab main? shaayad?

par phir bhi gham hai
ke aaj aisa hua ke?

 

Mere Dil
By : Gagan.. (Views : 684)

Mere dil ka dard kisne dekha hai
mujhe bas khuda ne tadpte dekha hai
hum tanhai mein baithe rote hain
logon ne hamein mehfil me hanste dekha hai

 

Iski Ankhon
By : Gagan.. (Views : 508)

Iski ankhon mein mohabbat ka sitara hoga
Ek din aaye ga woh shakhs hamara hoga
Tum jahan mere liye sippian chunte hoge
Wo kisi or hi duniya ka kinara hoga

 

Na Hota Main
By : Gagan.. (Views : 731)

na tha kuchh to khuda tha
na hota kuchh to khuda hota
aur sochta hoon kabhi-kabhi
naa hota main to kya hota

 

Zulf
By : Gagan.. (Views : 523)

Phir na sanvaregi aye gar bikhar jaayegi
Zindagi Zulf nahin hai jo sanvar jaayegi


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter